Math Brain Test: आपका दिमाग घुमा देगा मैथ का ये सवाल, ज़ीनियस है तो देकर दिखाए ज़वाब

Math Brain Test, Mathematics, ek kathin subject hone ke saath-saath ek rujhan se bhara subject bhi hai. Lekin jo bachche is vishay se darte hain, unhein yeh boring lagne lagta hai. Mathematics ki samanya kriyaon jaise jodna, ghataana, guna aur bhag karne ko jab ghise-pite tareeke se sikhane ki koshish ki jaati hai, to bachchon ko yeh vishay bojh lagne lagta hai. Aise mein, woh ganit se door bhagna lagta hai. Iske viprit, jin bachchon ko ise samjhna aasaan ho jaata hai, unke liye ye ganit vishay interesting ho jaata hai.

Paheliyaan, bachchon ke beech ganit ko interesting banane ka ek behtareen tareeka hoti hain. Paheliyon aur puzzles ke zariye bachchon ko ganit ko rochak tareeke se samjhaya ja sakta hai. Paheliyaan dimaagi kasrat ka khel hoti hain, inse bachchon ki mansik aur taarkik kshamata ka bhi pata chalta hai.

Ganit vishay ko bahut se log pasand karte hain aur bahut se log na pasand bhi karte hain. Aaj hum aapke liye ganit ki ek aisi mazedar paheli lekar aaye hain. Isko hal karne ke baad aap ganit (Maths Puzzle) jaise vishay ko atyadhik pasand karne lagenge kyun ki yeh sabhi paheli bahut hi anokhi hain. Aaj tak aapne isko kabhi bhi nahi padha hoga. Is paheli ko padhne ke baad aap apni hansi bhi nahi rok payenge.

(Maths Brain Test) Aaj ka sawal hai…
Viral ho rahi post mein jo sawal diya gaya hai, woh hai ’11+11=4, 12+12=9, 13+13=?’ Is sawal ko dekhkar aapko yaad aa raha hoga ki aisi problems aap chhoti classes mein solve karte rahe hain. Halanki bade hone ke baad aapko ye niyam yaad hai ya nahi, ye test isi baat ka hai. Sawal ke saath hi iska jawab bhi bataya gaya hai. Iska uttar hai-

Aaj ke sawal ka jawab (Maths Brain Test)
Gaur se dekhne par aap payenge ki ismein yog mein aane wali ek sankhya ke dono ankon ka varg kiya gaya hai. Jaise 11 mein 1 aur 1 ko jodne par 2 hota hai, jiska varg 4 hota hai. isi tarah se 12 mein 1 aur 2 ko jodne par 3 aata hai, jiska varg 9 hota hai. Isi tarah, 13 mein 1 aur 3 ko jodne par 4 aata hai. 4 ka varg 16 hota hai, isliye iska sahi jawab 16 hoga. Yadi aapka bhi uttar yahi tha, to aap sahi track par hain.

इसे भी देखें:-

All UPSCPDF Notes are available on this website for Educational purpose only. Not for commercial use.

Disclaimer
www.upscpdf.in does not own these UPSCPDF books, neither created nor scanned. We only provide you the links that are already available on Internet. If anyhow, it violates the law or has anyone issue with that. Then please contact us at upscpdf2@gmail.com For removal of links.